हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
mola tera matam hai mola tera ye gam hai
dil bhi mera rota hai aankh meri Pur nam hai
haye abul fazlil Abbas
ai mere gazi tu wafaon ka khuda hai
sath tere fatema zahara ki dua hai
teri wafa ka kalma lab pe mere har dam hai
chand tumhe kahte hai sab umme bani ka
door talak faila hai bas tera ujala
teri ziya ke aage din ki ziya maddhyam hai
haye abul fazlil Abbas
beta tujhe kahti hain shabbir ki madar
naaz uthate hai tere fatahe khaibar
jane dile Haidar hai tu wafa ka paiker hai
haye abul fazlil Abbas
zinda o javed zamane me raha tu
sajdaye mabood bachane me raha tu
aaj talak duniya me uncha tera parcham hai
haye abul fazlil Abbas
tera sare karbobala hanth katana
khoone yadullah ki taseer dikhana
ham na bhula payenge jaan hai jab tak dam hai
haye abul fazlil Abbas
nahar thi qabze me tere pyasa raha tu
aaj zamane me tere charcha hai har su
aaj har ik parcham se uncha tera parcham hai
haye abul fazlil Abbas
choom ke parcham ko ye kahti thi sakina
ab nahi pani ki koi dil me tamanna
tumse kiya jo shikwa mujhko bada ye gam hai
haye abul fazlil Abbas