๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ badi bekasi ka ye alam hai baba koi ab hamara sahara nahi hai ๐️
bhavar me meri zindgi ka safina muqaddar me shayad kinara nahi hai
talashe pidar me bhatakti hun kab se
badhe ja rahe hain sitam ke andhere
khudaya dikha aas ke ab ujale
hai kon aisa shohda sare razme malik
ki jiska badan para para nahi hai
chali aayi hun ran me baba se milne
ulajhte hai paon me shohda ke lashe
larzta hai nanha sa dil ab hawa se
firaqe shahedi me zinda rahun mai
mere dil ko hargiz gawara nahi hai
jo tha aitmade haram wo bhi haye
labe nahar sota hai Shane kataye
ye dukhiya madad ko kise ab bulate
ba juz natawa aik bhai ke ya rab
jahan me koi ab hamara nahi hai
ye maloom hai aap ko khoob baba
kabhi zindgi me na aaya wo lamha
ki neend aa gayi ho kabhi mujh ko tanha
bata dijiye fir bhala kaise soungi
mai jabki sina tumhara nahi hai
koi raha khata nahi haye mujh par
tadapte hai rukhsar par ashq girkar
nazar me hai aashoor ka ab bhi manzar
koi bhi nahi hai jinhe maine ab tak
musibat me apni pukara nahi hai
tamachon se nile hai rukhsar mere
rulate hai har pal yateemi ke saye
tasalli bhi deta nahi koi haye
tere bad baba nahi koi lamha
jise maine rokar guzara nahi hai
ai sajjad kaise bayan ho wo manzar
dile paikare sabr tadpa ye sun kar
kaha jab sakina ne ran me tadapkar
hai nanha sa dil aur gam itne zyada
mujhe zabt ka ab to yara nahi hai