हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
zainab ne kaha rokar aa dekh mere gazi
ab sar pe nahi chadar aa dekh mere gazi
aankhon se sakina ke jari hain furate gam
dariya ki taraf rukh hai aur nazare suye parcham
ye dard bhara manzar aa dekh mere gazi
asgar ko chhupaya tha sarwar ne jo turbat me
usko bhi nikala hai neze se sitamgar ne
fir zibha hua asgar aa dekh mere gazi
jalte huye khaimon ke hamrah jala kya kya
jhoola ali asgar ka aur kurta sakina ka
aabid ka jala bistar aa dekh mere gazi
fariyad nahi sunta koi bhi aseeron ki
Rone nahi deta hai mayyat pe shaheedon ki
kuffar ka ye lashkar aa dekh mere gazi
aik aur sitam taza malaun ne dhaya hai
farqe shahe wala ko neze pe chadhaya hai
barsate hain aur patthar aa dekh mere gazi
asbab to loota hai ab ghar ko jalaye hain
ye parda nasheeno ko be parda firate hai
ham ghar se huye beghar aa dekh mere gazi
kis tarha sunaun mai ahwal sakina ka
rukhsar tamachon se hai laal sakina ka
kano se chhine gauhar aa dekh mere gazi
aabid ko layeen aakar durre bhi lagate hai
pahna ke use bedi kanto pe chalate hai
kis tarha chale asgar aa dekh mere gazi
har bibi ko maine hi naqe pe bithaya hai
bithlane ko par mujhko koi bhi na aaya hai
tanha hai teri khwahar aa dekh mere gazi