header 2

Friday, June 20, 2025

sharaf hussain ki majlis ka jisne paya hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ sharaf hussain ki majlis ka jisne paya hai ๐Ÿ•Š️

to usne khuld me apna jahan banaya hai




lahu baha hai jahan par hussain walon ka

wahan ki khak ko khake shifa banaya hai


lade jo akbaro Abbas kya zarootat hai

udun ki fauj pe bhari jab aik bach,cha hai


kaleja tham ke daude hussain maktal me

chacha ko qasime muztar ne jab pukara hai


badan yateeme hasan ka jo ho gaya pamal

aba me rakh ke use shah ne pukara hai


khuda ka naam bachaya isi liye ghar ghar

hasan ke lal ka matam jahan me barpa hai


ye shabbe dariyan matam juluso zikro bayan

bata rahe hai ye ab bhi hussain zinda hai




aza e shah ki jo Zeeshan payi hai daulat

dua e fatema zahra ka ye nateeja hai