Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Thursday, July 24, 2025

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar tera sehraa naa dekha

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar tera sehraa naa dekha  ๐Ÿ•Š️

meri aakhon ke taare aye mere pyaare ali akbar tera sehra na dekha 



dil e madar me at'tharah, baras se yeh tamanna thi

mai apne haathon se ek din, tujhe dhula banaongi

teri dulhan ko main apne kaleje se lagaungi

jo mannat maangi hai maine, woh mannat mai badhaungi

magar kya thi khabar roungi mai tere janaze par


teraa sehraa naa dekha  

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 

teraa sehraa naa dekha  


bade armaan the dil me, bahot kuch maine socha tha

balaen leke aankhon se, banaongi tera sehra  

teri baarat jab ghar se chalegi ae mere beta 

toh mai abbas se keh dungi parcham ka kare saaya  

magar naa jaane kisne bad nazar dali tere upar


teraa sehraa naa dekha  

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 

teraa sehraa naa dekha 


mujhe pardes me taqder, ne yeh din bhi dikhlaya.. 

main zinda reh gyi aur mar, gya karyal jawan beta  

meri aankhon se aey akbar dikhayi kuch nahi deta.. 

main dekhungi toh kaise de, khun tera chaand sa chera .. 

arey toota hain ghum ka aasmaan dukhiyari madar par


teraa sehraa naa dekha  

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 

teraa sehraa naa dekha 


kaleja phat gaya madar, ka uss dum aye mere jaani 

suna jis dum ki tumko mar, te dum bhi na mila paani  

bare behram hain karbobala me zulm ke baani .. 

kisi ne haye tasweere, mohammad bhi na pehchani .. chalaya zaalimo ne haye mere qalb pe khanjar 


teraa sehraa naa dekha  

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 

teraa sehraa naa dekha 


jawan farzand ko maa baap, se khalik na churwaye

yeh manzil woh hai ki dushman, ki aakhon me bhi ashq aaye.. 

kisi ka naujawan beta sina seene pe na khaye  

zayeefi me jawan bete, ki mayyat baap na laaye 

hume qismat ne dikhlaya qayamat khezi yeh manzar 


teraa sehraa naa dekha  

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 

teraa sehraa naa dekha


padar ki bekasi aye laal, dekho toh zara uth kar  

jhukaye sar bhi lag kar ro, rahe hai sibtey paighambar  sahara kon de aakar nahi ab mooniso yawar  

chacha abbas bhi hote toh bazu thaamtey aakar  

tere baba bahot rote hain aye beta yahi kehkar 


teraa sehraa naa dekha  

jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 

teraa sehraa naa dekha  



jawan ki laash se wayez, yhi madar ka noha tha  
mujhe pardes me laakar, meri taqdeer ne loota  
mere armaan mitthi me mile ujri meri duniya  
teri shaadi ki hasrat thi, magar dekha tera laasha  
yeh gum sehne se pehle mar gayi hoti teri madar

teraa sehraa naa dekha  
jawaan ki laash pe ye bain karti reh gayi maadar 
teraa sehraa naa dekha