....
....
हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
dashte gurbat me kiye fatema zahara ne ye bain
mere lachchar hussain mere lachar hussain
hoke mai tujhse juda panungi kis tarha se chain
mere lachar hussain mere lachar hussain
sare din tune uthaye hain faqat lashe hi
laash qasim ki uthai hai kabhi Akbar ki
aik pal ko na suku mil na saka tujhko hussain
tere sab chahne wale hai pade maqtal me
be kafan tera janaza hai pada karbal me
tere marne se bapa ho gaya hai shor o shain
mai madine se tere sath chali hun beta
Karbala tak mai tere sath rahi hu beta
teri ma gam me tere rahti hai har dam be chain
ai mere laal kafan tujhko nahi de pai
mai tere jism ka bosa bhi nahi le pai
pyar tujhko kiya karte the rasool e saqlain
chhod kar apne jigar paron ko jau kaise
tukde maktal me pade haye uthaun kaise
aao imdad ko jannat se shahe badro hunain
chalta hai sookhe gale pe jo sitam ka khanjar
koi monis hai nahi koi nahi hai yawar
khoon me tar hai pada aaj mera noore ain
tauq o zanjeer jo beemar ko pahnata hai
baliya bachchi ki kano se layee cheenta hai
sar se chadar jo chini boli bahan haye hussain
kaise mukhtar karega tu baya wo manzar
pyasa irfan zabah hota hai zahra ka pisar
zakhmi hai deen e payambar ki hai jo zaibo zain