.....
.....
हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
Nida hatif ki aayi sarhade koofa ke maktal se
habeeb aao hussain ibne ali awaz dete hain
kiya tha hamne jo nana se wada wo nibhana hai
hame ab gulshane deen e payambar ko bachana hai
zmeene Karbala hi aakhri apna thikana hai
nahi gam gulshane zahara agar pamal ho jaye
hamara chahe seena barchiyon ki dhal ho jaye
magar ai bhai deen e mustafa khushhal ho jaye
mere bhai tumhari dosti par naaz hai mujhko
tumhare khoon ki dariya dili par naaz hai mujhko
tumhare nafs ki pakizgi par naaz hai mujhko
khinche hain teer aakar dekh lo bhai kamano me
sitamgaro ki shamsheere nahi thamti miyano me
daga dekhi hai ye aakhir yahan ke mezbano me
udu me shadiyane bajte khushiyon ka mosam hai
magar aale payambar me sadaye sozo matam hai
zaba se jitni batlao musibat bhai wo kam hai
khuda wale bahattar hain udhar lakho ka lashkar hai
gazab ye hai bahattar me bhi ik shashmaha asgar hai
koi hai saniye haidar koi shabihe payambar hai
musibat ki ghadi hai Karbala me ham akele hain
nishane panjatan khalqe khuda me ham akele hain
ghire hai bhai lakho ashkiya me ham akele hain
mere bhai kaho kya der hai koofe se hijrat me
hamare saath rahna hai tumhe jab bage jannat me
khade hai akbaro Abbas bazare shahadat me