हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
Sughra ko rulata hai yeh chand muharram ka
Jab samne aata hai yeh chand muharram ka
Hum surat e Zahra se bhai kay bichadne ki
Khatoon e qayamat kay ghar baar ujadne ki
Rudad sunata hai, yeh chand muharram ka
Kata hai gala logo sah roz kay pyase ka
Pamaal hua lasha Ahmad ke nawase ka
Har ik ko batata hai, yeh chand muharram ka
Tasveer dikhata hai Ahmad ki jawani ki
Har shaks ko duniya main karbal ki kahani ki
Tafseer batata hai, yeh chand muharram ka
Karbal ki zeyarat ko jo aankh tarasti thi
Shabbeer tere gham main jo aankh barasti thi
Us aankh ko bhata hai, yeh chand muharram ka
Imran ko Shabbar ko khatoon e qayamat ko
Haider ki qasam MAZHAR Sarkar e Risalat ko
Turbat main rulata hai, yeh chand muharram ka