header 2

Wednesday, August 10, 2022

ya hussain ya hussain ya hussain

 

हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें

ya hussain ya hussain

haye shame ghareeban haye sham e ghareeban haye sham e ghariban


ya hussain ya hussain ya hussain

ya hussain ya hussain ya hussain


haye


chhaa gai shaame garibane haram

ab na ghazi hai na ghazi ka alam

aik beemar hai wo bhi lab e dam

sary aalam mein bapa hai matam

Jal chuky khaimy laeen loot chuky sar sy rida

dasht mein aati hai sadaat ky rony ki sadaa


ya hussain ya hussain ya hussain


haye


ya hussain khushta e taigh e Jafa

ya hussain sibte rasool e khuda

haye sar bar saray naiza tera

dar badar ley gai Faoj e aada

bekafan lasha e besar hai gharib e zahra

hai badan ghodon sy paamal tera wa waila


ya hussain ya hussain ya hussain

haye


nainawa dasht e bala karbala

kyun hui Jor o Jafa karbala

kya thi pyason ki khata karbala

kuch to keh kuch to bata karbala

apny mehmaan pe yeh bandish e pani kyun kar

Jis ki maadar ko mehr mein mila hozey kausar


ya hussain ya hussain ya hussain


haye


aik maqtal mein bahattar lashay

bhanjey bete bhateejay pyasay

para para huye saary aisy

aik Quran ky paare Jaisy

khaak urh urh ky shaheedon ka kafan banti thi

khuld sy Fatima zehra ki sada aati thi


ya hussain ya hussain ya hussain


haye



ek taraf behta tha darya e Furaat

ek taraf pyason py mushkil thi hayat

baad e shabbir aseeron ki yeh raat

kaisy guzri tany sad paash ky sath

koi bhai ko koi roti thi beto ke liye

bekasi wo thi ke aansu na thy aankhon ke liye


ya hussain ya hussain ya hussain

haye


Fatima zehra yeh deti hain dua

ta Qayamat rahy yeh Farsh e aza

yun hi aati rhy maatam ki sada


hussain ya hussain, hussain ya hussain, hussain ya hussain


yunhi aati rahy matam ki sada

ho har ek lab py hussaini noha

hashr mein sheh ky azadaron sy pursa loon gi

main azadaron ko Jannat ki basharat doon gi


ya hussain ya hussain ya hussain

haye


alwida lashe garib ul guraba

alwida lashey Jamiyan shohada

alwida be kafan o be watana

alwida aal e gharib e zehra

zindagi hai to yeh seeny hain, yeh aanso haazir

warna mola hai hamara yeh salam e akhir


ya hussain ya hussain ya hussain

haye


karty hain sarwar o raihan dua

hum se raazi hon Janaab e zahra

dil ki dharhkan mein hai matam ki sada

saary aalam mein bichy Farsh e aza

nasl dar nasl yeh matam yeh azadar rahen

panjtan pak sada In ky madadgaar rahen


ya hussain ya hussain ya hussain

⪻⪻ ⪼⪼