.
.
हिन्दी के लिए👉 यहां क्लिक करें
aik shor hai abbas hai abbas
aik shor hai abbas hai abbas
dariya pe jo pahuncha asaddullah ka pyara
abbas hai abbas hai abbas
dariya pe jo pahuncha asaddullah ka pyara
lalkar ke fir foj ko gazi ye pukara
tum sab yahi kahte the ki dariya hamara
ab dekho ke dariya hai hamara ke tumhara
lo chheen lo ye ham hain ye kabza hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara…
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai hamara dariya hai hamara
lo chheen lo ye ham hai qabza hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara…
abbas alamdar alamdar alamdar
mai haidare qarrar ke saye me pala hu
mai fatema zahara ki duaon ka sila hu
Abbas mera naam alamdare wafa
ye naam na sab hai meri qismat ka sitara
dariya hai hamara dariya hai hamara
lo chheen lo ye ham hain ye kabza hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
aaqa ki duaon ka karam saath hai mere
dekho bani hashim ka hasham saath hai mere
rutba hai alamdar alam sath hai mere
lahra ke farahra bhi ye karta hai ishara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
sahil pe ye foj ke daste hain tumhare
aik aan me pevand zami ho abhi sare
dariya ulat aaye abhi qadmo me hamare
aik hashr bapa kar du mai kar du jo ishara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
lo chheen lo ye ham hai qabza hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara…
abbas ka nara hai alamdar ka nara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
khat bhej ke tumne jinhe yasrab se bulaya
mehman the lekin unhe dariya se hataya
pyase hi rahe wo unhe pani na pilaya
Allah ne jinke liye kosar ko utara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
ye hukm hai aaqa ka na talwar uthana
warna meri zarbon se larzta hai zamana
ye foje jafakar ye zalim ka thikana
aik neze se naqsha hi badal jayega sara
dariya hai hamara dariya hai hamara
lo chheen lo ye ham hai qabza hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara…
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara 2
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
kya foj ki tadat batate ho hame tum
ham dekhenge kis tarha darate ho hame tum
kis hakimo jabir se darate ho hame tum
ab nam na lena kisi hakim ka dobara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara 2
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
pyasa hu magar sun le sabhi dushmane jani
pani mujhe peena nahi le jana hai pani
haye mere mashoomo ki wo tashna dahani
hai mashqe sakina unhi pyasao ka sahara
lo chheen lo ye ham hain ye kabza hai hamara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara 2
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar
tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar
ab bhi hai tarai ki zami par wo dilafgar
wo dekh zara rozaye Abbas alamdar
aik zinda gawahi hai ye marqad ka ishara
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas ka nara hai alamdar ka nara 2
dariya hai hamara dariya hai hamara
abbas alamdar alamdar alamdar