header 2

Saturday, November 13, 2021

aaja asgar ki jagah meri sakina

 


हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja

jaagti ma ne kaha meri sakina so ja


jo tujhe khauf hai shayad mai use kam kar du

aaja ankho pe tere nade ali dam kar du

door kyun baith hai aa meri sakina so ja

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja


baap ke sine pe adat hai tujhe sone ki

meri godi tere qabil to nahi hai fir bhi

hai mere dil ki sada meri sakina so ja

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja


char barso me na zahamat di kabhi tune mujhe

apni khidmat ka mujhe aaj to mauqa de de

hoga ehsan tera meri sakina so ja

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja


qaid khake me jo aa jayenge tere baba

khud utha dungi tujhe Shana hila kar tera

achcha kuch der zara meri sakina so ja

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja


mujhse dekha nahi jaata ye tera darde jigar

ye batate huye achcha to nahi lagta magar

ab na aayenge chacha meri sakina so ja

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja


sabiron ka ye qareena to nahi hai bibi

ye hai pardes madeena to nahi hai bibi

karke bas shukre khuda meri sakina so ja

aaja asgar ki jagah meri sakina so ja

⪻⪻ ⪼⪼