हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
qafila lut gaya amma mera lashkar na raha
amma nana ki nishani ali Akbar na raha
rah gaya darde kamar haye baradar na raha
ab khabar aap ne li ghar ki ke jab ghar na raha
aur ab dame zibha bhi poore mere arma karna
arsh ke neeche na balo ko paresha karna
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
aap aayi hain amma mai salami ko na uttha
hai dard kaleje me jo uthne nahi deta
hasrat thi tere pahlu me dam mera niklta
mai chain se so jata teri god me madar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
kuch der me neze pe rakha hoga mera sar
na dekhna us waqt mujhe madare muztar
chal jayega us waqt tere qalb pe khanjar
ghode abhi daudege meri laash ke upar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
mai subha se ta asr uthata raha laashe
daman me chune qasime noshah ke tukde
lipta ali Akbar ka kaleja tha sina me
amma mere chehre pe hai khoone ali asgar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
kis haal me amma hai teri god ka pala
maktal me mera kho gaya har aik ujala
hai kon sakina ko meri poochne wala
soyegi mere sine pe kaise meri dukhtar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
dekho to qayamat hai bapa ahle haram me
khaime se nikal aayi hai zainab mere gam me
ab aane ko hain bibiya bahar koi dam me
samjhao unhe amma rahen khaime ke andar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
lo saans ukhadne lagi dil doob raha hai
nazron me meri zainabe muztar ki rida hai
aabid se thi ummid so wo gash me pada hai
kya hoga mere baad sakina ka muqaddar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
ai sarwaro rehan bayan kaise ho manzar
shah kahte the amma ye kada waqt hai mujh par
kis tarha kaleje se lagun aap ke uth kar
choomunga qadam aapke ab mai labe kausar
ki ab laal tera zeen pe hai aur na zami par
jao ki na ab der karo dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zami par