हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
chadar se na dhak rassi ke nishan
mujhse kuch bhi na chhupa zainab
mai chahne wali hun teri
ye neel mujhe dikhla zainab
jis waqt tere ye hanth badhe
us waqt pe kya shabbir na the
Abbas bhi sath raha hoga
kaise wo dekh saka zainab
hamrah tere Abbas na tha
ya usne nahi ki tujhse wafa
kya uske badan par hanth na tha
kyun usne nahi roka zainab
ye shakhs jo hai sajjad hai kya
bhiga hua dawan hai jiska
kyun ashq nahi rukte iske
kis ranj me ye roya zainab
shabbir ki wo nanhi bachcho
sine pe jo baap ke soti thi
tanhai me wo roti hogi
bachcho ko kahan chhoda zainab
qasim hai kahan akbar hai kaha
koi bhi nahi kunbe ka jawa
kyun koi nahi milta mujhko
lillah mujhe batla zainab
chhe maah ka ik na ha bachcha
ab wo bhi nahi mujhko dikhta
kyun god rabab ki khali hai
viraan hai kyun jhoola zainab
haan auno mohammad bhi to nahi
kya unko bhi chhod aayi hai kahi
poochenge jo abdullah unhe
batla tu kahegi kya zainab
kya haal nadeem likhe unka
madar se yahi zainab ne kaha
kunbe ko luta kar aayi hai
amma ye teri dukhiya zainab