header 2

Friday, October 8, 2021

azme hussaini dekhe zamana

 

हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें

azme hussaini dekhe zamana

rahe khuda me ghar ko lutana


aik taraf hai dard ki duniya

aik taraf be dard zamana


haaye guluye asgare naadan

teere sitam ka hua nishana


sibte nabi se seekh le duniya

raahe khuda me sar ko katana


rasme wafa Abbas se poochho

mashq na chhooti kat gaya shaana


sabre shahedi allaho Akbar

aaj bhi hairat me hai zamana


qaide sitam aur aale payambar

haaye ye duniya uff ye zamana


azmate shahe karbobala ko

ahale sitam ne haye na jana


qaid se chhut kar ahale watan se

kahti hai zainab gam ka fasana


ye bhi hai aik aijaze shahadat

taaza hai ab tak gam ka fasana

⪻⪻ ⪼⪼