हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
zayeef baap uthaye jawan ka laashs
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
sina jo sunaye Akbar me haye toot gayi
na jane kaise shahedi ne ye sina khainchi ani ke sath kaleja bhi aah nikal aaya
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
kaleja aa gaya bahar lahu ubalne laga
tadap tadap ke jawan aidiya ragadne laga
hussain malte rahe hanth mar gaya beta
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
pukarta hu mai kab se kidhar gaye Abbas
madad ka waqt jo aaya to mar gaye Abbas
uthaye uthta nahi hai jawan ka laasha
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
khuda ke waste bachchon tum hi ab aa jao
meri zayeefi tanhai par taras khao
utha raha hun mai kadiyal jawan ka laasha
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
mai kis kaleje se khaime me laash le jaun
mai kaise madare Akbar ko shakl dikhlaun
wo kis kaleje se dekhegi zakhm beta ka
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
koi to kaash ye kah deta umme laila se
khuda ke waaste hat jayen babe khaima se
hussain laate hain kadiyal jawan ka laasha
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
kaleja tham ke us waqt zainabe muztar
kaha bhateeje ke laashe se ai ali Akbar
isi liye tujhe at,tharah saal pala tha
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
khuda kisi ko na duniya me din ye dikhlaye
zayeef baap ho zinda pisar ko maut aaye
magar ye din bhi zahara ke laal par guzra
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me
na ab hain auno mohammad na qasimo Akbar
khada hai ran me akela ye fatema ka pisar
koi bhi iski sada par sada nahi deta
ajeeb waqt pada hai hussain par ran me