๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Saj gayi Karbala, Ya Hussain Ya Hussain ๐️
Dil hua ghamzada, Ya Hussain Ya Hussain
Saj gayi Karbala, Ya Hussain Ya Hussain
Aasmaanon pe kaisi ghata chha gayi
Aal-e-Ahmed ye kaisi jafa aa gayi
Har taraf hai sada, Ya Hussain Ya Hussain
Aasmaanon pe kaisi ghata chha gayi
Aal-e-Ahmed ye kaisi jafa aa gayi
Har taraf hai sada, Ya Hussain Ya Hussain
Chhid gaya seena Akbar ka, haaye sitam
Shah ka chalna dushwaar hai har qadam
Dil nikal aaya kheechi sina, Ya Hussain
Laasha Qasim ka tukdon mein hai bant gaya
Jo sahara Hasan ka tha, wo lut gaya
Ho gayi bewa shab ki dulhan, Ya Hussain
Jis ghadi dono baazu kate sher ke
Dekh kar Shah rone lage nehar pe
Jhuk gayi phir kamar, Ya Hussain, Ya Hussain
Qatl Zainab ke dono pisar ho gaye
Haaye fauj-e-sitam is qadar ho gaye
Saara kunba luta dasht mein, Ya Hussain,
Chakkiyaan pees kar haaye paala jise
Pyaar se umr bhar dekha bhaala use
Kat gaya ran mein uska gala, Ya Hussain
Ro raha hai qalam, nauha likh kar nishat
Deen ko Shah-e-deen de gaye hain hayat
Wada tifli ada kar diya, Ya Hussain
Deen ko Shah-e-deen de gaye hain hayat
Wada tifli ada kar diya, Ya Hussain
Saj gayi Karbala, Ya Hussain Ya Hussain