๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ mashk dariya se bhar ke aa na saki ๐️
fir sakina chacha ko pa na saki
haye zindane sham se aage
zindagi ke safar pe ja na saki
baap se choot kar sakina ko
maut to aayi neend aa na saki
janti thi chacha na aayenge
dekhti rah gayi bula na saki
apne bhai ki nanhi turbat par
ansuon ke diye jala na saki
sabne kano ke zakhm to dekhe
dil ke zakhmon ka khun dikha na saki
usne dekha tadap ke suye furat
jab tamache sakina kha na saki
gam uthaye hain is qadar
apni sanson ka bojh utha na saki
jis bahan ko watan me chora tha
us bahan ko gale laga na saki
kya qayamat guzar gayi dil par
khoon to royi kuch bata na saki
jab sakina ki yaad aayi suroor
raat bhar roye neend aa na saki