Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Saturday, June 28, 2025

Awaz de rahi hai ye maqtal me sayada

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Awaz de rahi hai ye maqtal me sayada Zainab mere hussain ka sadqa utar de  ๐Ÿ•Š️

narghe me zalimo ke mera laal hai ghira 
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de


Ashur ki ye shab hai seyahi liye huye 

Daman me ek payame tabahi liye huye 

Dar lag raha hai mujhko Beyaban me 

bakhuda 

Zainab mere hussain  ka sadqa utar de


Allah meri god ke pale ki khair ho 

Jangal me Teen roze ke pyase ki khair ho 

Ghabra raha hai der se pahelu me dil mera 

Zainab mere hussain  ka sadqa utaar de


pardes me batool ka beta ghareeb hai 

Zainab mere hussain  ki halat ajeeb hai 

Mabood kaisa waqt ye bekas pe apada 

Zainab mere hussain  ka sadqa utaar de


Sadqa bala ki rad hai dukhe dil ka chain hai 

Nau lakh zalimo me akela hussain  hai 

Farma rahi hain beti se rokar ye Fatima 

Zainab mere hussain  ka sadqa utaar de


Ye kaisi dushmani hai mere nure ain se 

Takra rahi hai zulm ki had ab hussain  se 

Sar katne pe shimre sitamgaar hai tula 

Zainab mere hussain  ka sadqa utaar de


Parwaan jinko maine chadaya tha paal kar 

Layi hun unko bhai ka sadqa nikaal kar 

Beti ko huqm dijiye kariye na ilteja 

Zainab mere hussain  ka sadqa utaar de



Zainab nibha ke farz subokdosh ho gayi 
Mahfooz maa hussain ki khamosh ho gayi 
Khursheed fir na aayi Beyaba'n me ye sada 
Zainab mere hussain ka sadqa utaar de