हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
sarwar ko na samjhe baaniye shar
Ahmad ka nawasa wa waila wa waila
khaime ki kanate'n jalti hai
taaraj gharana hota hai
sahmi hui bachchi ko aakar
de kaun dilasa wa waila wa waila
kis tarha bachati kya karti
ma kokh jali majboor hui
do roz ke pyase mehma par
dhayi hai qayamat wa waila wa waila
abbas nahi qasim bhi nahi
Akbar bhi nahi asgar bhi nahi
mazloom padar ke hantho par
bachcha hai zara sa wa waila wa waila
bauchhar hai teeron ki ran me
aur aag barasti hai ban me
kya noke sina ke qabil tha
Akbar ka kaleja wa waila wa waila
dariya se qadam peechhe na haty
talwar chali shane bhi katy
begor pada hai reti par
Abbas ka laasha wa waila wa waila
atthara baras pala tha jise
khaye huye barchi sota hai
hamshakle nabi hamsaye nabi
tha jo ghar ka ujala wa waila wa waila