हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करे
azadaron dua mango koi aise yateem na ho
jaise sakina yateem hui,sham ke zindan me jab sakina ko baba ka sar mila
lipta ke sar ko sine se bachchi ne ye kaha
ka gaye sham ke zindan me andhere baba
kisko kahte hain yateemi ye suna tha maine
aap ke baad ye ehsas hua hai baba
aap ke baad yateemi ki saza payi hai
itni tanha hun ki saya hai na parchayi hai
raat ro ro ke guzarti hai to din matam me
qaid khane me yuhi saal kata
zindagi meri dukho se hai ibarat baba
kaisi qismat ne dikhayi hai musibat baba
mai jo roti hun to lagte hai tamache baba
aap ki yaad me rona bhi saza hai baba
ashq aankho se nikalte hai lahu kano se
ab darindo se nahi khauf hai insano se
aik majboor yateema pe sitam dhate hai
meri taqdeer me durron ki jafa hai baba
aap ki tarah se roothe hai ujale baba
kaun zindan se ab mujhko nikale baba
toone manga tha duaon me khuda se jisko
ab wahi beti hi zindane jafa hai baba
kitne arman the ki zindan se mai ghar jaungi
aisa lagta hai yahi ro ro ke mai mar jaungi
ye sitamgar sakina ko kafan kya denge
kya kafan aapke laashe ko mila hai baba
baba kahte hai ye zindan ke andhere mujh se
maut hi aayegi ab mujhko dilase dene
meri har sans hi rahti hai sitam ki zad par
aise jine se to marna hi bhala hai baba
jakhm laakho hain kaleje me dikhaun kaise
mujhpe jo beet rahi hai wo bataun kaise
pyas lagti hai to pee leti hun aansu apne
shimr ke durre sakina ki giza hai baba
lafz mazhar ne jo likkhe hai lahu rote hai
shadma aankho se yun ashqe aza bahte hai
aisa lagta hai ki zinda se sada aati hai
aisa nauha meri gurbat pe likha hai baba