हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
aapki kya shan hai maula
bolta quraan hai maula
fatema ki jaan hai maula
marziye subhaan hai maula
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
Karbala ka fatahe aazam
nakhuda hai warise aadam
ja baza faile tera parcham
ta abad hoga tera matam
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
teen din ki tisnagi maula
haye teri bekasi maula
khushk gardan par chhuri maula
Karbala kahti rahi maula
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
kis tarah bholenge wo manzar
jab chala tha halq pe khanjar
jab sina ki nok pe tha sar
bol utha quran tere lab par
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
ye sabilen ye azakhane
aankh me ashqo ke paimane
matami laye hai nazrane
ab janabe sayyada jane
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
ye teri maula azadari
zindagi se bhi hame pyari
hai yahi tujh se wafadari
ashq aankhon se rahe jari
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
warise quraan zindabad
rahbare insan zindabad
mazhare iman zindabad
fatema ki jaan zindabad
mere lahu ke har qatre me goonj raha hai ya hussain
ab to sabka wird zuban bhi rahne laga hai ya hussain
assalam ai malike kausar
assalam ai kushtaye khanjar
assalam ai jaane paigambar
kahte hain rehan aur sarwar