हिन्दी के लिए👉 यहां क्लिक करें
Baal khole berida chalta raha chalta raha
bekason ka Qafela chalta raha chalta raha
aik rasan me bandh kar barah aseeron ke gale
zulmaton ka silsila chalta raha chalta raha
noke neza par safar karta hua farke hussain
suye zainab dekhta chalta raha chalta raha
aik thaka hara musafir karbala se sham tak
rozo shab chalta raha chalta raha chalta raha
bediyon ke bojh se dushwar tha chalna magar
ye usi ka hosla chalta raha chalta raha
raste ki har musibat manzilon ki sakhtiyan
rozo shab sahta hua chalta raha chalta raha
dashte karbal se nikal ke wadiye purkhar me
wah aseere Karbala chalta raha chalta raha
taziyano ki aziyat pusht pe sahte huye
aik qaidi rasta chalta raha chalta raha
aik hujoome aam tha koofe ke har bazar me
aur wo qaidi bana chalta raha chalta raha
saath me kulsoomo zainab thi rasan basta imam
qaid ho kar berida chalta raha chalta raha
rahguzar karta gaya zanjeer ki jhankar se
ranjo gam me mubtela chalta raha chalta raha
khun bhare pairon me chhale aur zakhmon se nidhal
raat din maula mera chalta raha chalta raha