हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
mohammad haye mohammad suno fariyad mohammad
jallad aasteen chadhata hua chala
khanjar ko ungliyo pe phirata hua chala
majme ko raste se hatata hua chala
arkane arshe haq ko hilata hua chala
ab kya kahun ke panv rakha kis muqam par
fat,ta hai sina hal e shahe tashna kam par
roohe rasool kahti hai jallad raham kar
ye mera noore ain hai ye hai mera pisar
ye sina mera sina hai ye sar hai mera sar
ye dil hai mera dil hai ye jigar mera jigar
tu baitha hai hussain dilawar ke siny par
jo khelta tha tere pyambar ke siny par
zahra pukari arshy ilahi hilaungi
ai shimr tujhpe aah ki bijli giraungi
isko na marega to dua deti jaungi
mahashar me hur se pahle tujhe bakhshwaungi
is nauhe par bhi arsh ko usne hila diya
khnjar ko bosagahe nabi se mila diya
gul pad gaya hussain ne sar ko fida kiya
aada ne jashne fatahe ka sama bapa kiya
rukh shimr ne suye harame mustafa kiya
ai shimr toone kaisi qayamat bapa kiya
parda utha ke dekhti thi khwahre hussain
neze pe uske aage chadhaya sare hussain
zainab ne haye bhai kaha aur nikal padi
chillai fizza haye khuda aur nikal padi
bano ne sar se fenki rida aur nikal padi
kubra pukari wa aabata aur nikal padi
aage to be hawas haram rote jaate the
peechy pukarte huye bachche bhi aate the
nagah shah ka laasha jo besar nazar pada
goya gule burida payanbar nazar pada
sartaj e ahlebait zami par nazar pada
zainab ko gark e khun jo baradar nazar pada
rakh kar kate gale pe gala yun lipat gayi
samajhe ye ahale bait ki duniya ujad gayi
ye dil khrash bahan ke the laash pe bayan
ki wa hussain kahati hai ro ro ke khasta jaan
lekar balayen laash ki karti thi ye fugan
bhaiya mita gaye mere ma baap ka nishan
zahara ki jaan roohe ali haye kya kiya
ummat ne kis gunah pe tera sar juda kiya