header 2

Friday, August 27, 2021

zainab meri zainab

हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें

zainab meri zainab zainab meri zainab

sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab

dayare shaam jao berida zainab meri zainab



ye sach hai nange sar ho aur shano me rasan bhi hai

jise chhora hai maktal me wo begoro kafan bhi hai

usi mazloom ki hai ye ilteja zainab meri zainab-----


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab


tumhara bhai gairatdar abbase dilawar hai

usi mazloom ka ghode ki gardan me bhandha sar hai

usi Sabir ka tumko wasta zainab meri zainab-----


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab


janaza jiska tariki me baba ne uthaya tha

usi Sabir ne tumko sabr karna bhi sikhaya tha

na karna gam se ghabra kar gila zainab meri zainab-----


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab


ali jaise bahadur baap ki beti nahi roti

masayab hans ke sah leti hai aur hmmat nahi khoti

tumhe kahti hai duniya sabira zainab meri zainab-------


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab


batau kya hain kitne daag mere qalbe muztar me

mai qasim ke hazaron tukde laya aik chadar me

na khole lab braye baddua zainab meri zainab-------


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab


hamare baad zalim reesmane zulm bandhenge

lagakar aag khaimo me ridauye sar se chhinege

sitam ki hogi tum par inteha zainab meri zainab------


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab


na payegi mera pahlu to wo royegi raaton me

meri beti sakina ko dilasa dena baaton me

yateema ka tumhi ho aasra zainab meri zainab


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab------


ajab manzar tha wo kawish kaha sarwar ne jab sabko

mai rukhsat tumse hota hun salame aakhiri le lo

tumhara hai nigehban ab khuda zainab meri zainab


sare sarwar se aayi ye sada zainab meri zainab------


⪻⪻ ⪼⪼