हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
khamosh hain alqama ki maujen
fiza me bhi maut ka sama hai
ridaye zainab tera muhafiz
ukhadti sanson ke darmiyan hai
hawao ke rukh badal rahe hain
khyam dariya se hat rahy hain
kisi ke tewar bata rahe hain
ki toot padne ko aasma hai
sitam ki paika to kheench lenge
hussain chasme jari se lekin
khalish ka ik teer aur bhi hai
ko qalbe Abbas me nihan hai
sakina bibi ki tashnagi ka
jigar pe ab tak hai daag baaqi
wahi wahi mashq bhi milegi
alam jari ka jahan jahan hai
ba chashm purnam ba waqte rehlat
ali ne jin bazuwo ko chooma
kahi wo bazu kalam huye hain
kahi pe ab unme reesma hain
lahu lahu paikare tamanna
qareeb mashqizaye sakina
gira hai rahwar se wo aise
kahi pe bazu kahi nishan hai
lagi hai khaime me aag har su
ridayen bewon ki chhin rahi hain
udasiya poochti hai shahid
wo pasbane haram kahan hai