๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Sarwar ko marna hai to akbar ko mar do ๐️
Aapas mein kar rahe the sitamgar ye mashwara
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Marna hai is jawan ka marna Hussain ka
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Kaante pare hain pyaas se iski zabaan par
Lekin taras na khaiyo Sarwar ki jaan par
Peechhe se chhup ke waar karo is jawan par
Hoga ye waar Muttalabi khandan par
Bach kar na jaane paaye ye tasveer-e-Mustafa..
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Aage barho Rasool ki kheti ujaad do
Naiza jawan laal ke seene mein gaad do
Zahra ke aur Ali ke kaleje ko phaad do
Jaldi karo Hussain ki saansein ukhaad do
Mar jaayenge Hussain agar ye juda hua..
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Mitti me jab milegi ye dolat hussain ki
Aik pal me toot jayegi himmat hussain ki
Baqi na hogi jisme me quwwat hussain ki
Gutno pe le ke aayegi gurbat hussain ki
Ye hai zayeef baap ke jine ka aasra
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Yawar koi nahi hai wo kisko bulayenge
Tanha hussain lashaye akbar pe aayenge
Jab apne nojawan ko zinda na payenge
Khud maut ko hussain gale se lagayenge
Khanjar ko saup denge wo sookha hua gala
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Sabr o Raza ki had se guzar jaayenge Hussain
Lekin pisar ka daagh na seh paayenge Hussain
Aisa jigar kahaan se bhala laayenge Hussain
Akbar ki laash dekh ke mar jaayenge Hussain
Un ko shikast dene ka hai ek raasta..
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Humshakl-e-Mustafa hai, niraala hai ye jawan
Ye bhi rahe khayaal ke aala hai ye jawan
Zahra ke poore ghar ka ujala hai ye jawan
Bint-e-Ali ki god ka paala hai ye jawan
Is naujawan mein hai basa dil Hussain ka..
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Athaara saal paal ke jis ko jawan kiya
Woh dilbar-e-Hussain hai humshakl-e-Mustafa
Ek baap ke liye hai ye sadma bohat bara
Bete ka sehra dekh na paayen Shah-e-Huda
Inaam tum Yazid se lena bohat bara..
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Neza jawan laal ke dil par laga diya
Ghode se zalimo ne zami par gira diya
Mitti me murtaza ke lahu ko mila diya
Pardes me hussain ko bekas bana diya
Fir bhi ye shor foj e yazeedi me na ruka
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do
Ankhon se khoon ke ashq bahate rahe hussain
Girte the jab bhi khud uthate rahe hussain
Ro ro ke ye sada bhi lagate rahe hussain
Abbas fauj e shaam ka nara suno zara
Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar do