.....
.....
हिन्दी के लिए 👉यहां क्लिक करें
kiye hain shimr ne do qatl aik khanjar se
lahu hussain ka pocha bahan ki chadar se
kisi ne baalon se pakda koi utha ke chala
sare hussain ko mara kisi ne patthar se
Ghareeb-E-Zahra Wahi'n Rote Rote Marr Jaata
Bahan Utha Ke Na Laati Jo Laashe Akbar Se
Use Uthaya Hai Baba Ki Laash Se Aise,
Ke Phir Sakina Nahi Soyi Shimr Ke Darr Se
Lab-E-Hussain Pe Hass Hass Ke Marta Hai Chhadi,
Yazeed Khel Raha Tha Hussain(as) Ke Sarr Se
Bulaya Shaam Ke Zindan Mein Jab Sakina Ne,
Hussain Pyase Palat Aaye Hauze Kausar Se
Faqat gala hi nahi shah ka kata ran me
Kate hai haath bhi zahra ke kund khanjar se
Bahan Ka Parda Taqallum Use Banana Tha,
Suna Raha Tha Wo Quran Sina Ke Mimbar Se.