๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Bulati hai maa kab se, aao Sakina ๐️
Bulati hai maa kab se, aao Sakina
Kyun roothi ho maa se batao Sakina
Mili hai rihaai watan ko chalo tum
Hamein is tarah na rulao Sakina
Bahut yaad karti hai Sughra bahan ko
Kuch apni bhi ulfat dikhao Sakina
Sunana bahan se masaib jo guzre
Nishan zulm ke na chhupao Sakina
Abhi tak hai aankhon mein sehra ka manzar
Meri laadli paas aao Sakina
Meri god mein mera Asghar nahin hai
Yun tum bhi na nazrein churao Sakina
Bharosa nahin Shamiyon ka koi bhi
Meri jaan na zinda basao Sakina
Meri laadli aa bhi jao Sakina