๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Dil mein ho Karbala, Ya Ali Ya Ali ๐️
Lab pe ho marsiya, Ya Ali Ya Ali
Shah ka maatam karo aao ahl-e-aza
Bakhshwa dengi Zahra, milegi jaza
Na hon hum se khafa, Ya Ali Ya Ali
Karbala walon ke gham mein rote rahein
Jaan apni wafaon mein khote rahein
Hai yahi iltija, Ya Ali Ya Ali
Majlisi raunaqein, maatami ye faza
Ho lahad mein bhi ye jab ke aaye qaza
Hai yahi ek dua, Ya Ali Ya Ali
Deen ke parcham tale hain sabhi gham-gusaar
Shah ke gham mein rota hai saara dayaar
Gham mein hain mubtala, Ya Ali Ya Ali
Zulfiqar-e-Haidari ki rahe ye pukaar
Hum rahein umr bhar Shah-e-Deen pe nisaar
Na ho is gham siwa, Ya Ali Ya Ali
Ho ragon mein wafa saans jab tak chale
Ho labon par sada, Ya Ali Ya Ali