๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ Utho Sakina utho jaata hai kaarwan ๐️
Tere bagair jaane kaisay jiye gi maa
Utho Sakina utho jaata hai kaarwan
Zindaan ka ye andhera hoga kahan sawera
Pardes mein Sakina gham khwaar kaun tera
Zakhmi hain kaan teray khaali hain baaliyan
Utho Sakina Utho…
Qabr-e-Batool tanha veeraan hai Madina
Karb-o-bala mein Asghar zindaan mein Sakina
Dil ko hila rahi hain Asghar ki hichkiyaan
Utho Sakina…
Maa ja rahi hai Bibi veeraan goad le kar
Karb-o-bala ke ban mein apna suhaag de kar
Kaisay Madinay jaaon sab kuch to hai yahan
Utho Sakina…
Sughra ka saamna main kaisay karoon bata de
Poochay gi jab wo mujhse main kya kahoon bata de
Amma meri Sakina kho aayi ho kahaan
Utho Sakina…
Main is ghadhi se pehlay aye kaash mar hi jaoon
Kis kis ko kya bataoon kis kis se moo chupaaon
Poochengi mujhse aa kar jab saari Bibiyaan
Utho Sakina…
Dil gham se hai do paara hamain shaamiyon ne maara
Abbas bhi nahi hain jo badh ke dain sahaara
Jangal mein so rahi hain saari nishaaniyaan
Utho Sakina…
Irfan gham-e-Sakina hai dukh bhari kahaani
Ye dukh bhari kahaani Nasir ki hai zubaani
Main sochta hoon ab bhi kaisay karoon bayaan
Utho Sakina…