๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ na milega tumhe shabbir sa bhai zainab ๐️
dhondhne jayegi gar sari khudai zainab
apne ashko se jala shame gariba ke chirag
tu hai attharah chirago ki ikai zainanb
jaane kya shame gariba me sitam toote hain
umr bhar chain se fir so nahi paayi zainab
do pisar toone to do baazu diye gazi ne
pahle to rasme wafa toone nibhai zainab
surkh ye kis ke lahu se hui poshak teri
laash kya seene se akbar ki lagai zainab
paani ko dekh ke kyu kar na jigar tukde ho
kha gayi hai tere gazi ko tarai zainab
haye kis shaan se nikli thi watan se zainab
kaisi gurbat ko samete huye aayi zainab
laashe Abbas alamdar na tadpe kyu kar
be rida sham ke darbar me aayi zainab