Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Saturday, July 19, 2025

Khaali jhoola jhula rahi hai Rabab

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Khaali jhoola jhula rahi hai Rabab ๐Ÿ•Š️

Ashk apne baha rahi hai Rabab
Ab to baaqi nahi rahe Asghar
Kis ko lori suna rahi hai Rabab


Aa ke maa se bichhad gaye ran mein
Laal mere kidhar gaye ban mein
Aaja beta bula rahi hai Rabab

Tar karoon khushk lab tere aaja
Lag ja seene se ab mere aaja
Khaali daaman dikha rahi hai Rabab

Kaise furqat teri gawara karoon
Bin tere kaise main guzaara karoon
Hoon main tanha, bata rahi hai Rabab

Chhe mahine ki jaan the beta
Meri godi ki shaan the beta
Bain apne suna rahi hai Rabab

Maa jiye kaise bin tere Asghar
Kaise guzrenge din mere dilbar
Haath khaali utha rahi hai Rabab

Nanhii gardan pe teer maara hai
Tar se Asghar ka sar utaara hai
Dard dil ka suna rahi hai Rabab

Neend raato ko aayegi kyon kar
Beta kaise jiyegi ye maadar
Shammaa raushan bujha rahi hai Rabab



Gham ye kaise nishaat hoga raqam
Haaye Hashim hai maa pe kaisa sitam
God sooni dikha rahi hai Rabab