Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Monday, July 21, 2025

kaha shabbir ne gazi wo dekho janibe koofa mera muslim akela hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ kaha shabbir ne gazi wo dekho janibe koofa mera muslim akela hai ๐Ÿ•Š️

na koi muniso yawar na koi paas hai beta 
mera muslim akela hai


mere bhai ko charo simt se fojo ne ghera hai
hazaro marne wale hai aur muslim akela hai
hai koofi charo janib aur nahi hai koi bhi apna 
mera muslim akela hai

badi dushwar manzil hai kabhi aisa na waqt aaye
watan se door gurbat me koi aisa na dukh paye
rukyya hone wali hai abhi kuch der me bewa 
mera muslim akela hai

jo mere dil pe guzri hai unhe batla nahi sakta
tumhari betiyo ke sath koofa ja nahi sakta
bacha le mere bhai ko najar nazdeek hai baba
mera muslim akela hai

kate hontho ka us ke khoon jab pani me girta hai
girakar jaam pani ko badi hasrat se takta hai
na jane kitna zakhmi hai na jane kab se hai pyasa 
mera muslim akela hai

nazar aate nahi abbas ko muslim ke shahzade
muhammad aur ibrahim us ke saath nikle the
kaha par kho gaye dono na jane kya hua aisa 
mera muslim akela hai

ye kal tak saath the us ke abhi sab ho gaye bagi
safire ibne haidar ki ajab gurbat hai ye gazi
koi ghar se nahi nikla sada deti rahi zahra
mera muslim akela hai

siwaye ibne urwa ke koi aaya nahi aage
bachane ko nahi aaye wo laasha hi utha lete
kaha khat likhne wale hai koi ab tak nahi aaya
mera muslim akela hai

lipat kar shah ke qadamo se kaha gazi ne ai maula
mujhe pahuncha de koofa ko badal du shahar ka naqsha
garibi par mere bhai ki sara shahar hai hansta
mera muslim akela hai

kaha akbar ye ro rokar shahewala ne gazi se
wo dekho baithi hai amma wahan dawan ko failaye
sare muslim ko seene se lagaye kahti hai zahra
mera muslim akela hai‌‌‌‍‌‌‌‌‌‌‌‌‌‌‌‌‌‌