Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Wednesday, July 16, 2025

Daal do koi zakhmon pe chadar haye Akbar ki maa aa rahi hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ Daal do koi zakhmon pe chadar haye Akbar ki maa aa rahi hai ๐Ÿ•Š️

Seena Akbar ka rakho chhupakar
haye Akbar ki maa aa rahi hai


Biwiyon milke halqa banaa lo
Maa jawa'n laal ki hai sambhalo
Marr na jaye woh laashe pe aakr
haye Akbar ki maa aa rahi hai

Dekh legi agar Umm-e-layla
Apne bacche ka zakhmi kaleja
Saans bhi lena payegi maader
haye Akbar ki maa aa rahi hai

Mannatein mankr jisko pala
Uske seene me zalim ka bhala
Kaise dekhegi mader yeh manzar
haye Akbar ki maa aa rahi hai

Jisko dulha banane ke din the
Jiski shaadi rachane ke din the
Usko dekhegi maa khoon me tarr
haye Akbar ki maa aa rahi hai

Koi arman dil ka na nikla
Loot gayi Umm-e-layla ki duniya
Bayen karne ko laash-e-jawa'n par
haye Akbar ki maa aa rahi hai..

Rakh ke khaime me Akbar ka laasha
Sar jhukha kr bahut roye maula
Jab kahaa biwi Fizzan rokar
haye Akbar ki maa aa rahi hai


Bain vayez yeh khaime me goonja
Dekh le apne Yusuf ka laasha
Khaaq udaati hui peet,ti sar
haye Akbar ki maa aa rahi hai