Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Thursday, July 31, 2025

Baade Shabbir Sakina ke labon par thi buka

🤲 ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

हिन्दी में पढ़ने के लिए 👉यहां क्लिक करें

🕊️ Baade Shabbir Sakina ke labon par thi buka 🕊️

Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai



Main hui chaar baras mein hi zayeefa Baba
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Jab laga munh pe tamaacha to gash aaya mujhko
Maine har baar ai Baba hai pukaara tumko
Haal kya ho gaya khud dekhiye aakar mera
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Khoon kaanon se tapakta hai sitam jaari hai
Aisa lagta hai Sakina pe qaza taari hai
Kya koi karta hai is tarah bhi bachchon pe jafa
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Saath rahwaron ke daudaya hai mujhko Baba
Is qadar zulm sitam karte the mujhpe aada
Aag daaman mein laga di mera kurta bhi jala
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Paani jab jab bhi hai maanga to tamaacha khaya
Pyaas se meri nigaahon mein andhera chhaya
Ho gaya haddiyon se dekhiye ab gosht juda
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Mujhko naake pe bithaate hain wo tanha Baba
Dar-badar dekhiye humko hai phiraate aada
Be rida main hoon sitamgar ka hai darbaar saza
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Aapki yaad mein rone bhi nahi dete hain
Ek lamha wo mujhe jeene nahi dete hain
Mujhko dikhlaate hain Baba wo kata sar tera
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Pusht zakhmi hai meri choor badan hai saara
Haaye dukhiya ko sitamgaar ne hai kitna maara
Ab na reh paaungi ek pal bhi main zinda Baba
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai

Qaid khaane mein hua shor Sakina na rahi
Zulm sehti thi jo wo Shah ki yateema na rahi
Shaam se ab bhi nishat yahi aati hai sada
Aapke baad yateemi ki sazaa paayi hai