๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana ๐️
abbas ke lashe se aahista guzar jana
Abbas ki gairat ka charcha hai zamane me
mashure jahan hai wo haider ke gharane me
sar nange na dariya pe ai noore nazar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
shabbir ki dukhtar hai masoom sakina hai
sone ko kaha mumkin ab baap ka sina hai
agosh me bachcho ko tum leke agar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
pabande rasan hokar darbar me jaogi
be maknaao chadar tum bazar me jaogi
bas nade ali padhkar majme se guzar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
jis waqt shqi tujhko darbar me layenge
jo ma pe sitam guzre wo yaad sab aayenge
darbar se zalim ke mayoos wo ghar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
zahra ki sada sunkar zainab ne kaha rokar
Abbas se shikwa mai karne ki nahi madar
toofane talatum me hai ab mujhko utar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
jis din se watan chora bilkul nahi soi hu
ik din me bahattar ke lashon pe mai roi hu
ab dekhye kab hoga amma mujhe ghar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
har aik qadam ham par ab zulmo sitam honge
shano me rasan hogi sar nange haram honge
mumkin nahi chalna fir bhi hai magar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
abid ko sakina ki mayyat bhi uthana hai
zindan me sakina ki turbat bhi banana hai
ab Bali sakina ka mumkin nahi ghar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana
ye sahibe aalam ki din rat tamanna hai
roze pe azadar nauha yahi padhna hai
ho rauzaye gazi pe qismat me agar jana
zahra ne kaha zainab dariya pe agar jana
abbas ke lashe se aahista guzar jana