header 2

Tuesday, June 24, 2025

ye zahra ki dashte bala me sada hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ ye zahra ki dashte bala me sada hai ๐Ÿ•Š️

mera lal jalti zami pe pada hai




bade naaz se jisko maine tha pala

usi ke hi dam se tha ghar me ujala

na pani mila qatl pyasa hua hai

mera lal jalti zami pe pada hai


na qasim na Abbas hain aur na Akbar

sabhi so rahe hain kataye huye sar

uthe kaise lasha ye ma ki sada hai

mera lal jalti zami pe pada hai


malak ake jiska jhulate thy jhula

libas aaye jannat se uriyan ho lasha

juda tan se sar haye zalim kiya hai

mera lal jalti zami pe pada hai


hai bimar beta jo gash me pada hai

hai majboor kitni bahan be rida hai

bulaye kise kon apna bacha hai

mera lal jalti zami pe pada hai


sakina ko mare tamache layin ne

saron se ridayen bhi chini layin ne

ai shame gariba ye kaisi jafa hai

mera lal jalti zami pe pada hai


sada meri sunkar koi bhi na aaya

chala kund khanjar mera lal tadpa

hai baba duhai gala kat raha hai

mera lal jalti zami pe pada hai




asire mehan jab haram ho rahe thy

to bazare koofa ai baba saje thy

layin leke ahle haram ko chala hai

mera lal jalti zami pe pada hai