๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ ya abbas ya abbas ๐️
jab hawaon me nami mahsoos ki abbas ne
ehtiyatan sans apni rok li abbas ne
mauje kosar sar uthakar dekhti hi rah gayi
itni unchai pe rakh di tashnagi abbas ne
ya abbas ya abbas
ya abbas ya abbas
saja rakhi thi dariya par ajab barat pani ki
bahut karte tha ashrare yazidi baat pani ki
magar dariya pe pahunche thokare mari chale aaye
bata di hazrate abbas ne auqat pani ki
kate bazu chidia mashkiza bachcho rah gayi pyasi
zami pe khoon banke ho gayi barsat pani ki
ya abbas, ya abbas
ya abbas, ya abbas
jahan bhi pani o mashko alam ki baat chali
ali ke laal ke qadmo tale furat chali
wafa o ishq mohabbat ki kainat chali
duaye fatema zahra bhi sath sath chali
alam ke dam se hai ab tak hayat pani ki
jari ki jeet hui aur maat pani ki pani ki
ya abbas, ya abbas
ya abbas, ya abbas
wo aik mashq jo kosar samet kar nikli
labon pe apne samandar samet kar nikli
tabassume ali asgar samet kar nikli
jo aik zarb se lashkar samet kar nikli
agar na kahti ye aane hayaat pani ki
har ik nigah se fir jati zaat pani ki
ya abbas, ya abbas
ya abbas, ya abbas
sakina bibi ke saqqe ali ke laal salam
jari sakhi asade e shere zuljala salam
wafa ki aakhiri hai ke mahe kamal salam
nahi hai dono jaha me teri misal salam
tere kate huye bazu nijat pani ki
tere badan ka pasina zakat pani ki
ya abbas, ya abbas
ya abbas, ya abbas
himayate shahe mazloom me fana abbas
tabao jurrato gairat ki inteha abbas
janabe zainabo bekas ka aasra abbas
labe furat faqat tune ye likha abbas
hamari tashnalabi hai furat pani ki
hayat pyason ki thahri wafat pani ki
ya abbas, ya abbas
ya abbas, ya abbas
meri hayat ka saman nasire shabbir
badalta rahta hai jo kaynat ki taqdir
Farat o mashko alam jiski hashr tak jagir
mai aur ye meri tanzeem iske dar ke faqir
bahegi chashme aza se furat pani ki
chalegi majliso matam me baat pani ki
ya abbas, ya abbas
ya abbas, ya abbas