header 2

Tuesday, June 24, 2025

shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai sugra watan me jiska sehra saja rahi hai ๐Ÿ•Š️

apni fufi se ran ki rukhsat wo mangta hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai





shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


mitne ko hai jahan se tasvir mustfa ki

qabu me ab nahi jai halat shahe huda ki

nazdik bas ajal hai kuch lamha rah gaya hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


aunga mai na wapas usko bhi ye pata hai

maktal se baap ko wo mud mud ke dekhta hai

hasrat se baap bhi to beta ko dekhta hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


ahsas me jamaye bhai pe hai nigahen

akbar ki le rahi hai ye door se balayen

wo khake karbla pe karwat badal raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


arshe bari se tare hasrat se todti hai

akbar ke waste wo ladiyon ko jodti hai

usko nahi khabar thi neza use laga hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


rahon me jiski sugra shamma jala rahi hai

din raat dil hi dil me dulha bana rahi hai

wo adiya zami par bhai ragad raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


jiske liye machalti hai sonchkat ye sugra

bandhungi aik din mai bhai ke sar pe sehra

wo to ajal ka ran me sehra pahn chuka hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


naushah jab banega ye sonchti sugra

chip jayega haseen foolo se sara chehra

maloom kya ki usko ghere huye qaza hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


dil me saja rahi hai foolo se jiska sehra

karti thi jiski khatir ye ahtemam sugra

maktal se uska lasha khaimo me aa raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


pori tamanna hogi gulzar hoga ye ghar

aayega jab palat kar pardes se baradar

lekin use khabar kya narge me wo ghira hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


lashe pe shah uske ansu baha rahe hai

bachcho ke sath milkar lasha utha rahe hai

gulzar hasrato ka pamal ho chuka hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai




ammar ye bahan se ai kash koi kahta

jiska piro rahi hai tu hasrato se sehra

bandhegi kiske sar pe Akbar to mar chuka hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai


Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

sugra watan me jiska sehra saja rahi hai