๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ abbase ali aaye qareebe shahe abrar๐️
bhai ko alam de ke kiya shah ne bahut pyar
Hans Hans ke raqibon se ye karne lage guftar
jaisi ye meri fauj hai waisa hi alamdar
gazi sa koi deen ka sardar na hoga
abbas sa duniya me alamdar na hoga
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara
hashim ka qamar haidare karrar ka pyara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
Haidar ke gharane ki sakhawat sakhi abbas
khoone abu talib ki sadaqat sakhi abbas
zahara ki duao ki taharat sakhi abbas
qudrat ne banaya nahi fir aisa dobara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
quraane wafa shere nayastane ali hai
zahara ki tamanna hai dilo jane ali
iske liye bachpan se hi farmane ali hai
mai ilm ka dariya hun ye dariya ka kinara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
paida huye abbas to godi me uthakar,
zainab ne rakha naam kaleje se lagakar
chota sa alam shah ne diya inko saja kar
dekha jo alam ne to alam khud ye pukara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
ye panjatane pak ke lashkar ka nishan hai
kahte hain ye shabbir mera shere jawan hai
aisa koi duniya me alamdar kahan hai
shawan se hai shahbaz kalandar ka ye naara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
abbase ali roohe wafa jaane wafa hai
abbase fatema zahara ki dua hai
har waqt alam chomti rahati ye hawa hai
bhoola nahi abbas ko dariya ka kinara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
duniyae shahadat me kaha uska hai saani
jo saare shahidon ki safon me raha gazi
be dast bhi hokar jo bhare jholiya sabki
haashim ka qamar sare faqeeron ka sahara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
lazim hai ke ham dekhege ik roz wo nanzar
farmayenge jab menhdiye dauran sare mimbar
kabe se namoodar jo hoga mera lashkar
hoga yahi lashkar ka alamdar hamara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2
yaad aata hai wo ruksate Abbas ka manzar
wo rona sakina ka farahre ko pakadkar
wo dekhna zainab ka kabhi ghar kabhi chadar
kahti thi palat aaye bahan bhai ka pyara
sakhi abbas hamara hai alamdar hamara 2