๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ sahmi sahmi hai fizayen fir muharram aa gaya ๐️
cha gai gam ki ghatayen fir muharram aa gaya
pahnege ahle aza ab aaj se kale libas
chodiyan todengi mayen fir muharram aa gaya
ai azadaron chalo ab fatema ke lal ka
taziya khana sajaye fir muharram aa gaya
kahke ya Abbas ham sina zani karte huy
parchame gazi uthayen fir muharram aa gaya
saari duniya par karen mazlumiye sarwer aya
dastane gam sunayen fir muharram aa gaya
qasimo auno muhammad ke masayab ke tufail
fatema ko ghar bulayen fir muharram aa gaya
lahjaye Akbar me dekar fir azane zikre haq
soye zahno ko jagaye fir muharram aa gaya
sare rahon par sajakar nanhe asgar ki sabeel
pyason ko pani pilayen fir muharram aa gaya
ban ke khud apne amal se maqsade shah ke naseer
le le zahra ki duwayen fir muharram aa gaya