header 2

Thursday, June 26, 2025

qafela ja raha hai watan ke liye

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ qafela ja raha hai watan ke liye ๐Ÿ•Š️

Karbala me qayamat ka ik shor hai

qafela ja raha hai watan ke liye

koi roti hai apne jawan laal ko

ro rahi hai koi kam sukhan ke liye




apni barbadiyo ko gawara kiya

khu me doobe gulo ka nazara kiya

de diya fatema ka bhara gulsita

Karbala tere ujde chaman ke liye


jab chale the madine se sab saath the

auno jafar the Akbar the Abbas the

ja rahi hu madine to koi nahi

bas musibat faqat hai bahan ke liye


qabre qasim se hai yu mukhatib fufi

teri shaadi kuch is tarah ban me hui

koi sehre ka bhi fool baqi nahi

warna le jati qabre hasan ke liye


koi chadar na thi kaisi be zaad thi

hanth hote huye bhi na aazad thi

kitni majboor kar di gayi thi bahan

apne bhai ke dafano kafan ke liye




qasre zalim kabhi qaidkhana kabhi

noke neza kabhi taziyana kabhi

kon si thi aziyat jo di na gayi

har jafa thi aseere mehan ke liye