๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ kya raha khaimo me shah ke ik udasi rah gayi ๐️
sirf Rone ko muhammad ki nawasi rah gayi
aaj gayi qasim ke tukdo se udhar katbobala
ma idhar beta ki dulhan ko sajati rah gayi
chinta tha shimr chadar aur zainab bar bar
apni chadar ke muhafiz ko bulati rah gayi
khoone dil Abbas ka sab bah gaya ran me magar
dil me bas ik bat zainab ki rida si rah gayi
ai muslmano tumhari gairate kya ho gayi
tum tamashayi the zainab muh chipati rah gayi
qaid me Bali sakina ko mila baba ka sar
muh pe muh rakh kar jo soi ma jagati rah gayi
madare asgar na baithi saye me asgar ke bad
saye me aayi to zinda lash baqi rah gayi
har tamache par sakina muh pe rakh kar nanhe hath
neel rukhsaron ke gazi ko dikhati rah gayi
aa gaye rehano sarwer Karbala se laut kar
aaj tak khushbu badan me Karbala ki rah gayi