๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ kya bhool gaye banna ko bhaiya ali Akbar ๐️
sugra ye bayan karti thi pardesi baradar bhaiya ali Akbar
bhaiya teri furqat mujhe jine nahi deti
milne ki magar aas hai zinda hun abhi bhi
darwaze pe baithi hun isi aas pe dar par
bhaiya ali Akbar
rahta hai mere sar pe meri maut ka saya
kuch roz ki mehman hai mar jayegi sugra
dam sine me atka hai nikal jaye na bahar
bhaiya ali Akbar
ik bar bhi sugra ki tumhe yaad na aayi
tum chor gaye iski shikayat ahi bhai
han shikwa hai aaye na mere bhai palat kar
bhaiya ali Akbar
ujda hua ghar bhar mujhe dasta hai bhaiya
hujra tera viran hai viran madina
ghar dekh ke rah jati hun har bar tadap kar
bhaiya ali Akbar
sach bat hai qismat pe nahi zor kisi ka
taqdeer se shikwa hai nahi aap se shikwa
tanhai me ujda hai mariza ka muqaddar
bhaiya ali Akbar
arman tha bhaiya ka mere byah rachega
mai sadqe gai ban gaye pardes me doolha
bas rah gaye arman mere sine ke andar bhaiya ali Akbar
kis pyar ki mamta ki shikayat karun bhai
afsos ki ammu ko meri yad na aayi
laungi na ab dard ki rudad labon par
bhaiya ali Akbar
bas karti hun bhaiya tumhe us rab ke hawale
ujdi hui qismat meri Allah sanbhale
ab ana to ana meri turbat pe baradar bhaiya ali Akba
ab rukne lagi sans hasan rok qalam ko
urfi na likha jayega bimar ke gam ko
bas bahne laga aankhon se ashkon ka samandar
bhaiya ali Akbar