header 2

Sunday, June 29, 2025

koi wada sare bazar bahut yaad aaya

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ aaj zainab ko alamdar bahut yaad aaya ๐Ÿ•Š️

koi wada sare bazar bahut yaad aaya




thar thara utthi zami kanp utha charkhe kuhan

jab bandhi zainabo kulsoom ke shano me rasan

bazuye sayyade abrar bahut yaad aaya


bibiya sar khule bazaro me jab layi gayi

sham ki rahon me jab barchiya chamkayi gayi

Karbala tera zamidar bahut yaad aaya


kahan bazare sitam aur kahan aale butool

shahre koofa me jo dakhil huye sadate rasool 

kufaye haidare qarrar bahut yaad aaya


gamzada bano ne jab bhi koi jhoola dekha

apni aagosh me rakkha hua kurta dekha

chhe mahine ka samajhdar bahut yaad aaya


bediyan tham ke qadmo ko badhane wala

sakhtiya sham ki rahon me uthane wala

raste ro diye bimar bahut yaad aaya



aaj fir faili hai nayab sitam ki dahshat
aaj fir ahle jata mang rahe hai bayyat
aaj fir shah ka inkar bahut yaad aaya