๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ aik bar aur mujhe god me lelo baba ๐️
wa hussaina ka hua shor haram me barpa
hoke rukhsat jo chale ghar se shahe karbobala
kah ke ye daudi sakina ke thahar jao zara
aik bar aur mujhe god me lelo baba
shah ne bachchi ka jo ye haal pareshan dekha
roke farmaya ke kya haal meri mahe laka
jodkar nanhe se hathon ko sakina ne kaha
aik bar aur mujhe god me lelo baba
sonchti hu ke tamache koi mare na mere
goshware koi kanon se utare na mere
wahan aaye hain mere dil me na jane kya kya
aik bar aur mujhe god me lelo baba
mai samajhti hu ke yunhi mujhe bahlate ho
tha na maloom ki marne ke liye jate ho
tum hamesha ke liye hote ho ab mujhse juda
aik bar aur mujhe god me lelo baba
baba sine se sakina ko lagate jao
ab kaha hogi mulaqat batate jao
tumko Akbar ki qasam guncha dahan
aik bar aur mujhe god me lelo baba
kya khabar tum se koi baat bhi ab ho ke na ho
kon jaane ki mulaqat bhi ab ho ke na ho
dil dhadakta hai mera bahre nabi bahre khuda
aik bar aur mujhe god me lelo baba
apni aagosh me ai baba chipa lo mujhko
aakhri baar kaleje se laga lo mujhko
jeete ji aah kaha ab tumhe paungi bhala
aik bar aur mujhe god me lelo baba
tum na aaoge to ai baba bahut roungi
kiske seene pe bata dijiye fir soungi
na to bhaiya ali Akbar hai na Abbas chacha
aik bar aur mujhe god me lelo baba
haanth faila ke badhe beti ki janib sarwar
jis ghadi bekaso masoom ne ro ro ke kaha
aik bar aur mujhe god me lelo baba