header 2

Monday, June 30, 2025

hussain mehman ho rahe hain

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ khuloos se farshe gam bichao ๐Ÿ•Š️

hussain mehman ho rahe hain
alam bhi Abbas ka sajao 
hussain mehman ho rahe hain

 

khyal is baat ka bhi rakhna

ki aik tashna dahan ka gam hai

sabeel bhi har taraf lagao 

 hussain mehman ho rahe hain


vilaye deene khuda hai sarwer

kami na ho khidmato me koi

ye ghar ke bachchon ko bhi bayao  

hussain mehman ho rahe hain


lahu lahu hai falak ka manzar

hai chand mahe aza ka nikla

jo haqqe matam hai wo nibhao 

hussain mehman ho rahe hain


baland aawaz se ho giriya

zameen ke zarre zarre royen

furat ashqon ke tum bahao 

hussain mehman ho rahe hain


bhula dovhar aik dil se ranjish

sada ye farshe aza ne di hai

sabhi ki majlis me aao jao  

hussain mehman ho rahe hain


ridayen cheeni gayi thi jinki

wo sari hamrah bibiyan hain

siyah parde bhi leke aao  

hussain mehman ho rahe hain


na shahzadi ko ho shikayat

ai meri bahno saro ko dhak lo

dukhe dilon ko na tum dukhao  

hussain mehman ho rahe hain


yahi to mahe aza hai jisme

butool ka ghar ujad gaya tha

shahide azam ka gam manao  

hussain mehman ho rahe hain


watan se ai door rahne walo

aza ke din intezar me hain

tum apne ghar jald laut aao  

hussain mehman ho rahe hain



yahi to meyare zindgi hai
yahi to hai bandagi mudassir
sabhi ko rudade gam sunao 
hussain mehman ho rahe hain