๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ haye sugra bata kya likhun ๐️
maula maktal me sar ko jhukaye
lashe Akbar pe tanha khade hai
dhime dhime tapakte hai ansu
haye sugara ka khat padh rahe hai
bole kya mai jawab iska du
haye sugra bata kya likhun
mai to pardes me lut gaya
apne lashkar ko mai ro chuka
tera baba gareeb ho gaya
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
andhiya mera ghar le gayin
mera lakhte jigar le gayin
mera noore nazar le gayin
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
khat tera ab sunau kise
kon meri sada par uthe
shab ke jage huye so gaye
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
haye sugra wo bhai tera
jisne tujhse tha wada kiya
kha gayi usko karbobala
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
pyar tune hai jisko likha
ghutniyon bhi jo na chal saka
ha wo asgar bhi ab na raha
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
shab ko doola banaya jise
raas aayi na mehndi jise
royi sehre ki ladiyan jise
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
ab sakina ka hafiz
waqt zainab pe bhi hai kada
mujhko ghere huye hai qaza
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
ye to achcha hua ladali
tu madine me hi rah gayi
be ridai se to bach gayi
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun
khat wo rehano sarwer tha kya
khak se mera maula utha
lashe Akbar pe khat rakh diya
aur iske siwa kya likhun
haye sugra bata kya likhun
aur iske siwa kya likhun