Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar

Noha Lyrics ka Maqsad aur Iska Asar Noha ek aisi adabi aur jazbaati riwayat hai jo Islam ki azadari ka aham hissa hai. Iska m...

Saturday, June 28, 2025

garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma

๐Ÿคฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI

เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เค•े เคฒिเค ๐Ÿ‘‰เคฏเคนां เค•्เคฒिเค• เค•เคฐें

๐Ÿ•Š️ garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma ๐Ÿ•Š️

asr ka waqt hai shabbir ki aati hai sada
choor zakhmo se badan ho gaya amma mera
apni agosh me ab mujhko chupa lo amma
dhoop hai apni aba aan ke dalo amma



garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


thak gaya laashy uthakar mai bhare lashkar ki

laash qasim ki mai laya hun kabhi Akbar ki

khud banai hai lahad maine ali asgar ki

do tasalli mujhe seene se laga lo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


teer talwar se khanjar se badan zakhmi hai

khak padti hai to zakhmo me chubhan hoti hai

mere zakhmo se mere dil ka lahu jari hai

apni chadar ko mere zakhmo pe dalo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


mera Abbas khfa ho gaya amma mujhse

wo nahi aaya utha laya tha bazu uske

aap ik kaam kare nahar kinare jake

mere roothe huye bhai ko mana lo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


chakkiya peesi hain godi me bithakar mujhko

jagti rahti thi zanu pe sulakar mujhko

loriya deti thi jhoole me jhulakar mujhko

aik dafa god me fir apni sula lo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


aur kuch der ka mehman hun tum paas raho

ret zakhmo me hai anchal se use saaf karo

aati hai rone ki aawaze sakina dekho

jao tum jake sakina ko sanbhalo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


dekho wo aag lagi shame gariba aayi

dekho ghabra ke nikal aayi meri ma jaayi

dekho behosh sakina ka pada hai bhai

jao sajjad ko sholon se nikalo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma


hai guzarish meri tumse to ab itni madar

amma baba ki qasam dhak lo muh par chadar

dekha jayega na ab tum se ye khooni manzar

qatl hota hun nigahon ko hata lo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma




hogi jab hashr ke maidan me majlis barpa
farshe gam shah ka bichayengi janabe zahra
aayegi hazrate shabbir ki rehan sada
aaj ji khol ke tum ashq baha lo amma


garm reti pe mai girta hun sanbhalo amma