๐คฒ ANJUMAN-E-ZULFEQARE HAIDERI-MAHOLI
เคนिเคจ्เคฆी เคฎें เคชเคข़เคจे เคे เคฒिเค ๐เคฏเคนां เค्เคฒिเค เคเคฐें
๐️ chini sar se chadar jo ahle haram ke to abbas sabko bahut yaad aaye ๐️
lage jab sakina ke rukh par tamache
to abbas sabko bahut yaad aaye
jalane lage jab ke khaime sitamgar
to jalne laga usme abid ka bistar
nahi aaya koi jo usko bujhane
to abbas sabko bahut yaad aaye
biyabane shame gariba jo aayi
aur un be saharo pe wahshat si chayi
jigar unke dahle badan sansanay
to abbas sabko bahut yaad aaye
diya raat bhar pahara zainab ne kahkar
mai hun aaj qasim na hun aaj akbar
magar shab me Haidar jo tashreef laye
to abbas sabko bahut yaad aaye
pinhane lage jab ke aabid ko bedi
bhatije ki janib fufi kah ke daudi
ai zalim use chod eeza mujhe de
to abbas sabko bahut yaad aaye
bandhi bazuon me rasan bibiyo ke
sune tane har gam par zalimon ke
na la pai jab tab ranjo mehan sr
to abbas sabko bahut yaad aaye
gai shahre koofa me wo ban ke qaidi
kabhi thi jo zainab wahan shahzadi
muqaddar ne usko jo ye din dikhaye
to abbas sabko bahut yaad aaye
qareeb aaya bazare shaam aabe rash jab
kaha roke zainab ne sajjad se tab
ali ki ye beti kahan muh chupaye
to abbas sabko bahut yaad aaye
muqaddar qaza shaam ka qaidkhana
na bistar na takiya na pani na dana
kisi tarah ik saal yunhi guzare
to abbas sabko bahut yaad aaye
sakina ko maut aayi qaide sitam me
macha aik kohram ahle harm me
bhala kon turbat me mayyat utare
to abbas sabko bahut yaad aaye
nishan neel ka jab nabi ko dikhaya
to zainab ne waris ye jumla sunaya
ye nana ki ummat ke hain karname
to abbas sabko bahut yaad aaye